ab nahi chamakte hain peele palaash
ab nahi ubharti hain maathe pe boonde
aur nahi milta hain aam ka wo meetha sa swaad
lagta hain mausam badal gaya hain...
garam hawa ne jaise muh modaa hain
peele patto ne jaise shaakho ka saath choda hain
aur toda hain jaise vidhi ne suraj ka abhimaan
lagta hain mausam badal gaya hain...
safed chadar ki thandak kuch kapkapai hui hain
chanchal pankhe ki pankhudiya kuch alsaayi hui hain
aur hui hain duriya kuch pyas ki matki se
lagta hain mausam badal gaya hain...
hoth pe papadi chadi hain
gaal ki surkhi badi hain
aur padi hain angithi pe kuch bhuni hui shakarkandiya
lagta hain mausam badal gaya hain...
kitni baatein hain jo badal gayi hain
kitne log the jo ab nahi hain
aur kitni yaadein hain jo thahar gayi hain
lagta hain mausam badal gaya hain...
... haan mausam badal gaya hain.
ab nahi ubharti hain maathe pe boonde
aur nahi milta hain aam ka wo meetha sa swaad
lagta hain mausam badal gaya hain...
garam hawa ne jaise muh modaa hain
peele patto ne jaise shaakho ka saath choda hain
aur toda hain jaise vidhi ne suraj ka abhimaan
lagta hain mausam badal gaya hain...
safed chadar ki thandak kuch kapkapai hui hain
chanchal pankhe ki pankhudiya kuch alsaayi hui hain
aur hui hain duriya kuch pyas ki matki se
lagta hain mausam badal gaya hain...
hoth pe papadi chadi hain
gaal ki surkhi badi hain
aur padi hain angithi pe kuch bhuni hui shakarkandiya
lagta hain mausam badal gaya hain...
kitni baatein hain jo badal gayi hain
kitne log the jo ab nahi hain
aur kitni yaadein hain jo thahar gayi hain
lagta hain mausam badal gaya hain...
... haan mausam badal gaya hain.


12 comments:
mausam to har saal badalte they,
ped sukhtey, phir naye phool khiltey they,
is baar un phoolon ko sabdon se sila hain
lagata hai kisi ke jeeney ka andaj badal gyaa hai!
i am speechless by, the sheer brilliance with which u played with the words and how emotive this li'l piece is.
Standing ovation
I was in a good mood. you spoilt that x-(
This one is brilliant and scary [-(
@deepak I like the way u said things :)
@Thanks dude kuch jyada wali taarif ki tune toh m speechless too :)
@Raja :O I spoilt ur mood :O kyun scary but ???
ye peele patte shaakhon se toot kar hi nayi kopalon ko jagah deinge
maathe ki boonde hi ab adrushya ho ke tujhe halki si sirhan deingi
meethe aam ki jagah leinge kuch khatte-meethe santare
khuli baahon se kar swaagat is sheet-ritu ka
kyunki
maana mausam badal gaya hai
par
dil ke jazbaat
hoton ki baat
aur
aankhon ke khwaab
kab mausam ke mohtaaj hue hain..
achaa hai achaa hai
Sorry to say :)
but not ur best poem it is :)
.
.
but nice and could be better !!!
try to write in Devanagiri if u write any hindi KAvita ..
second thing is that this kavita has good scope so I missed something here ..
bura na mano haaan ...
I beg to differ from in search of... this is one of ur best :)
simple yet meaningful
waise mausam to badal hi raha hai...
winter jo aa raha hai :)
@addy >:D< thanks for adding ur bful lines :)
@Selva thanks Dude :)
@Darshan Thanks buds for ur valuable comment cus they always help me to improve :)
@bhav Thankus to ju :)
Lagta hai Zindagi ko bahut kareeb se dekha hai.A very simple words put in a very simple format.
Keep it up its very fresh.
@R.K
Zindagi ke paas jaaye bina usse jina na-mumkin hain :) so kareebi toh jaruri hain..
Thanks :)
Who knows where to download XRumer 5.0 Palladium?
Help, please. All recommend this program to effectively advertise on the Internet, this is the best program!
Post a Comment