
ab nahi chamakte hain peele palaash
ab nahi ubharti hain maathe pe boonde
aur nahi milta hain aam ka wo meetha sa swaad
lagta hain mausam badal gaya hain...
garam hawa ne jaise muh modaa hain
peele patto ne jaise shaakho ka saath choda hain
aur toda hain jaise vidhi ne suraj ka abhimaan
lagta hain mausam badal gaya hain...
safed chadar ki thandak kuch kapkapai hui hain
chanchal pankhe ki pankhudiya kuch alsaayi hui hain
aur hui hain duriya kuch pyas ki matki se
lagta hain mausam badal gaya hain...
hoth pe papadi chadi hain
gaal ki surkhi badi hain
aur padi hain angithi pe kuch bhuni hui shakarkandiya
lagta hain mausam badal gaya hain...
kitni baatein hain jo badal gayi hain
kitne log the jo ab nahi hain
aur kitni yaadein hain jo thahar gayi hain
lagta hain mausam badal gaya hain...
... haan mausam badal gaya hain.